Page 545 - Quran-e-Kareem
P. 545
23 Sureh al-muminun (545) 18 para
th
rd
Surah Al-Muminun (makee) 118 ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehman o raheem khuda k naam se (shuru kerta hoon)
Beshak un mominoun ney falah pai 23:1 (laa) jo apni namazoun mein
khushoo kerney waley hain 23:2 (laa) aur jo behooda batoun se moon
phiraaney waaley hain 23:3 (laa) aur jo zakat ada kerney waley hain 23:4
(laa) aur jo apni sharamgahon ki hifazat kerney waley hain 23:5 (laa)
siwaye apni ajwaaz key apney hath k maal (londiyon) k is soorat mein wo
qabil-e-malamat nahi hain 23:6 (jeem) pus jo iskey siwa khwaahish kare
pus wahi tu ziadati kerney waaley hain 23:7 (jeem) aur wo jo apni
amaanaton ki aur ahad-o-paiman ki riaayet kerney waley hain 23:8 (laa)
aur jo apni namaazoun ki hifazet kertey hain 23:9 (meem) yehi log tu
waris hain 23:10 (laa) jo jannat-e-firdous ko meeras mein lelengey (toye)
(aur) wo hamesha ussi mein rehney waley hongey 23:11 aur zaroor

