Page 621 - Quran-e-Kareem
P. 621
28 Sureh An-Qasas (621) 20 para
th
th
Ankhareeb hum tumhaare bhai k zariyea se tumhaare baazu ko qawi
kardenge aur tum dono k liye aesa ghalba muqarrar karenge k wo tum tak
pohonch na sakenge (jeem)(pesh) hamaari nishaaniyoun k zariye se
(jeem)(pesh) tum dono aur jo tum dono ki pairwee karenge wo hamaari
nishaaniyoun k zariyea se ghaalib rahenge 28:35 phir jab musa unke paas
hamaari khuli nishaaniyan lekar aaye to unhonay ye kehdiya k ye to
(khuda per ) iftara kia hua jaadu hee hai aur humne to aisa apnay pehle
buzurgoun mea sunaa hee nahi 28:36 aur musa ne farmaya k mera
parwardigaar uss se bhi khoob waaqif hai jo uske paas se hidaayat lekar
aaya hai aur uss se bhi jiske liye uss gher ka anjaam nayk hai (toye)
yaqeenan zaalim log falaa na paayenge 28:37 aur firaaoun ne kaha k aye
arkaane daulat mea to apnay siwaa kisi ko tumhaara khuda jaanta nahi (1)
(jeem) pass aye hamaan hamaari khaatir se ek parwaaz charaa phir
hamaare liye ek uuncha mahal bana k hum uss per charhker (2) musa k
khuda k haalat maaloom karein halaanke hum to usko jhuuta hee jaante
hain 28:38 aur usne aur uske lashker ne uss sirzameen mea naahaq buraayi
chaahi aur unhonay ye gumaan karliya k wo

