Page 617 - Quran-e-Kareem
P. 617
28 Sureh An-Qasas (617) 20 para
th
th
Mea kabhi gunehgaaroun ka pusht panah na banunga 28:17 pass musa ne
uss shaher mea iss haal mea subah ki k khauff bhi khaate they aur aass
bhi lagaaye huye they yakaayak dekhte kia hai k jiss shaqs ne kal unse
madad maangi thi (aaj bhi) unko pukaar raha hai (toye) musa ne uss se
farmaya k tuu sareeh (1) gumraah hai 28:18 phir jab ye iraada kiya k uss
shaqs ko jo unn dono ka dushman tha makhloob kardei to uss ne ye kaha
k aye musa kia tum ye chahte ho k mujhsy bhi ussi tarah khatl kardo jiss
tarah tumne kal ek shaqs ko khatl kardaala (qaaf)(laa) pass tum yahee
chahte ho k iss zameen mea barhey sarkash banjaao aur ye nahi chahte k
islaah karne waaloun mea se ho 27:19 aur uss shaher k intehaayi hissay se
ek shaqs daurta hua aaya (aur) kehne laga k aye musa arkaan e daulat
tumhaare baare mea ye mashwera kar rahey hai k tumko khatl karde pass
tum fauran nikal jaao mea yaqeenan tumhaara khair khwaa houn 28:20
pass Musa uss shaher se darte huye aur aass lagaaye huye nikal kharey
huye arz karne lagey k aye mere parwardigaar mujhey zaalim logoun k
haath se najaat de 28:21(2AIN8-5) aur jab madeeyan ki taraf holiyea (4) to

