Page 616 - Quran-e-Kareem
P. 616
28 Sureh An-Qasas (616) 20 para
th
th
Khair khwaa (bhi) ho 28:12 pass humne musa ko unki waalda k paas
lautaa diya k uski aankhein thandi hui aur wo ranj na karey aur wo ye bhi
jaan le k allah ka waada sacha hai lekin aksar log na waaqif hain
28:13(1AIN13-4) aur jab k musa apni poori quwwat ko pohonchey ! (1)
aur khoob haath paaon nikaale to humne unko faysla ki quwwat aur ilm
ataa kiya (toye) aur hum nayko kaaroun ko aisa hee badla diya karte hai
28:14 aur wo shaher mea aise waqt jabke ahel e shaher ghaafil they
pohonchey to uss mea do shaksoun ko larte huye paaya (zaal) ek to unn k
shiyoun mea se tha aur ek un k dushmanoun mea se (jeem) pass uss shaqs
ne jo unke shiyoun mea se tha (2) uss shaqs k ber khilaaf jo unke
dushmanoun mea se tha (laa) unse isteghaasa kiya pass musa ne uske ek
ghuunsa (3) maara k uska khaatema hogaya farmaane lagey k ye (inka
jhagra)shaitaan ki kaarwayi thi (toye) beshak wo khula dushman (aur)
bhatkaane wala hai 28:15 arz karne lagey k aye mere parwardigaar maine
apnay aap ko yahan (5) be moukha pohonchaya pass tu mujhey bachaale
(yaani dushmanoun ki nazroun se posheeda karle ) (toye) pass khuda ne
inko bachaaliya beshak wo barha bakhashne wala (aur) rehem karne wala
hai 28:16 arz karne lagey (6) k aye mere parwardigaar ye sabab iske k tune
mujhey nehmat ataa farmaayi hai

