Page 643 - Quran-e-Kareem
P. 643
29 Sureh Al-Ankaboot (643) 21st para
th
Aur (khuda e taala) unse ye farmaayega k jo jo amal tum kiya karte they
uska maza chako 29:55 aye mere wo bandoun jo imaan laaye ho yaqeenan
meri zameen (barhi) faraakh {phaylee hui} hai (1) pass tum meri hee
ibaadat kiya karo 29:56 her nafs maut ka mazaa chakne wala hai (2) (qaff)
phir tum sab ki baazgasht hamaari hee taraf hogi 29:57 aur jo log imaan
laaye aur nayk amal kiye hum zaroor unko jannat k uunchey uunchey
gharfoun mea jagah denge jab k neechey nadiyan behti hongi wo
(hamesha) hamesha unhee mea rahenge (toye) unn amal karne waaloun ka
badla jinhonay sabr kiya 29:58(qaaf) (swat) aur jo apnay parwardigaar per
bharosa rakhte hai kitna acha hoga ! 29:59 aur kitney zameen per chalne
waale aese hai jo apna rizk nahi uthaaye phirte (qaaf) (swat) allah unko
bhi rizk pohonchaata hai (3) aur tumko bhi (zaal)(swat) aur wahi badha
sunne wala (aur) jaanne wala hai 29:60 aur agar tum unse ye sawaal
karogay k aasmanoun ko aur zameen ko payda kisne kiya hai aur suuraj
ko aur chaand ko mateeh kisne karliya hai to wo zaroor ye kahenge k
Allah ne, phir wo kidher bayhke jaate hai ? 29:61 allah apnay bandoun
mea se jiske liye chaaheta hai rizk ko maseeh kardeta hai aur jiske liye
chaaheta hai kam kar deta hai (toye) beshak allah

