Page 647 - Quran-e-Kareem
P. 647
30 Sureh Ar roam (647) 21st para
th
aur jiss din qayamat qaayam hogi gunehgaar naa umeed hokar rehjaayenge
30:12 aur unke shareekoun mea se koi unka sifaarishi na hoga aur wo bhi
apnay shareekoun k munkir hojaayenge 30:13 aur jiss din qayamat qaayem
hogi ussdin sab alag alag hojaayenge 30:14 pass wo log jo imaan laaye they
aur unhone nayk amal kiye they unka to (baagh) behshat mea aghaaz o
karaam kiya jaayega 30:15 aur rahey wo log jo kaafir hogaye they aur
jinhonay hamaari aayatoun ko aur qayamat ki haaziri ko jhutlaaya tha pass
wahi azaab mea (her waqt) haazir rakhey jaayenge 30:16 pass jiss waqt
tumko shaam hoti hai aur jiss waqt tumko subah hoti hai (1) khuda ki
paakizgi bayaan kiya karo 30:17 aur aasmanoun mea aur zameen mea aur
shaam k khareeb aur jiss waqt tumlogoun ko dopeher hoti her tarah ki
taarif ussi k liye (zebah) hai 30:18 wo murdey se zinda ko nikaalta hai aur
zinda se murde ko nikaalta hai aur zameen ko baad uski maut k (3) phir
zinda kardeta hai (toye) aur issi tarah tum (khabroun se ) nikaale jaayenge
30:19(2AIN9-5) aur uski nishaaniyoun mea se yeh bhi hai k usne tumko
mitthi se payda kiya phir tum yekaayek aadmi banker phayle huye ho
30:20 aur

