Page 646 - Quran-e-Kareem
P. 646
30 Sureh Ar roam (646) 21st para
th
Jaante hai (1) (jeem)(swat) aur aakherat se wo (bilkul) ghaafil hai 30:7 kia
unhonay apnay dil mea issper ghour nahi kiya k allah ne aasmanoun ko
aur zameen ko aur jo kuch un dono k darmiyaan mea hai usko nahi payda
kiya hai magar haq k saath (toye) aur muqarrar muddat tak k liye
halaanke aadmiyoun mea se aksar apnay parwardigaar ki huzoori k
munkir hai 30:8 kia wo zameen mea nahi (2) chaley phirey k wo ye dekhte
k unse pehloun ka anjaam kaisa hua tha jo unse khuwwat mea bhi zyaada
they (toye) aur wo zameen ko jotaboya karte they aur usse zyaada basaya
jitna unhoney basaayi hai aur unke rasool unke paas khuli daleelayn lekar
aaye they (toye) aur allah ki ye shaan nahi hai k unnper zulm karta lekin
wo apnay aap per khud hee zulm kiya karte they 30:9(toye) phir inka
anjaam jinhonay badee ki thi bura hee hua k unhonay allah ki aayatoun ko
jhutlaaya aur unki hansi urhaate rahey 30:10(1AIN10-4) Allah makhlookh
ki ibteda karta hai phir wahi usse dobaara banaayega phir ussi ki taraf tum
sab ki baazgasht hogi 30:11

