Page 719 - Quran-e-Kareem
P. 719
37 Sureh Saaffat (719) 23 para
rd
th
Awaaz dee Aye ibrahim 37:104(laa) tumne beshak apna khwaab sacha
kardiya (jeem) hum nayki karne waaloun ko aesa hee badla diya karte hai
37:105 beshak ye khuli aazmayesh zaroor hai 37:106 aur humne iska fidya
ek barhi qurbani muqarrar ki hai 37:107 aur iske zikr ) ko humne aayenda
aane waaloun mea baakhi rakha hai 37:108(swat) ibrahim per salaam ho
37:109 nayki karne waaloun ko hum iss tarah badla diya karte hai 37:110
wo yaqeenan hamaare nayk bandoun mea se they 37:111 aur humne unko
ishaaq nabee ki khush khabri dee jo saaleheen mea se they 37:112 aur
humne ibrahim aur ishaaq per barkat naazil ki (toye) halaanke in dono ki
aulaadein nayk bhi honay waali thi aur khullam khula jo apnay aap per
zulm karne waale they 37:113(3AIN39-7) aur beshak humne musa aur
haroon per ehsaan kiya 37:114(jeem) aur humne undono ko aur unki
khoum ko sakht takleef se najaat dee 37:115(jeem) aur humne unki nusrat
ki jisse wahi ghaalib rahey 37:116(jeem) aur humne unn dono ko baleegh
bayaan waali kitaab naazil ki 37:117(jeem) aur hum hee ne undono ko raah
e raast dikhayee 37:118(jeem) aur hum hee ne aayenda aane waaloun mea
unka zikr e khayr baakhi rakha 37:119(laa) musa aur haaroun per salaam
ho 37:120 beshak hum nayko kaaroun ko aisa hee badla diya karte hai
37:121 yaqeenan wo dono hamaare imaandar bandoun

