Page 716 - Quran-e-Kareem
P. 716
37 Sureh Saaffat (716) 23 para
rd
th
Aur mitti aur haddiyan hojaayenge to kia humko koi jaza ya saza dii
jaayegi ? 37:53 (phir) kahega aaya tum bhi uss se waaqif hona chaahte ho ?
37:54 pass jhuk ker dekhega to usko jahannum k beech o beech dekh lega
37:55(tab be saakhta) kahega k khuda ki khasam tuu ne mujhey bhi maara
tha 37:56(laa) aur agar mere parwardigaar ka ehsaan na hota to mea bhi
(ussi tarah) teri saath hota 37:57kia (mea tumse na kehta tha k)(1) humko
hamaari maut k siwaaye marna nahi hai 37:58(laa) aur na humko
(aakheratt mea) azaab hee diya jaayega 37:59 yaqeenan barhi se barhi
kaamyabi yahee to hai 37:60 aisee hee (kaam yabi) k liye to chaahiyea k
karne waale kuch karey 37:61 aaya mehmaani k liye ye behtar hai ya
zakhoum ka darakht ? (2) 37:62 k humne usko naafarmaanoun k liye
azaab muqarrar kiya hai 37:63 wo ek darakht hai jo jahannum ki gehraan
se nikalta hai 37:64 (laa)uski chouthi aisee hai jaise shaitaanoun k sir ho
37:65(toye) pass wo zaroor ussi mea sarkhaane waale hongay aur (chaar o
nachaar) ussi se payth bharne waale 37:66(toye) phir unke liye uske ooper
se garam paani ki pilaayi hogi 37:67(jeem) phir unn sab ki baazgasht(3)
zaroor jahannum hee mea hogi 37:68 inhonay yaqeenan apnay baap dada
ko bhi gumraah paaya tha 37:69(laa) to unke nishaani khadam per ye bhi
daurhey chale aa rahey hai (4)37:70

