Page 717 - Quran-e-Kareem
P. 717
37 Sureh Saaffat (717) 23 para
rd
th
aur beshak inse qabl pehle waale bohhot se gumraah hogaye 37:71(laa)
halaanke humne unn mea daraane waale zaroor bheje they 37:72 phir
ghour se dekhlo k jinko daraaya gaya tha unka anjaam kaisa raha !
37:73(laa) (haan) allah k mukhlis bandey iss se mustasnaa {alag} hain
37:74(2AIN53-2) aur yaqeenan noah ne humko pukaara tha pass hum hee
to sab se acha jawaab dene waale hai 37:75(zaal) aur humne khud unhe aur
unke ahal ko barhi takleef se najaat dee 37:76(zaal) aur hum ne unki
aulaad ko (aayenda haq per) baakhi rehne wala qaraar diya 37:77(zaal) aur
humne pichle aane waaloun mea usse (yaani unki saffat o sina ko ya unke
khissay ko) baakhi rakha 37:78(zaal)(laa) noah (4) per tamaam aalimoun
mea salaam ho 37:79 hum nayki karne waaloun ko issi tarah badla diya
karte hai 37:80 wo yaqeenan hamaare momin bandoun mea se they 37:81
phir humne aouroun ko dubo diya 37:82 aur yaqeenan ibrahim bhi unhee
k pairwoun {shia} mea se they 37:83(meem) jab k wo apnay parwardigaar
ki huzoor mea saalem niyyat se aaye 37:84 jiss waqt k unhoney apnay
chacha se aur apni khoum k logoun se ye kaha k tum ye kia poochte ho?
37:85(jeem) kia tum allah ko chorker jhuuthey khudaon k mureed bantey
ho ? 37:86(toye) tamaam aalimoun k parwardigaar ki nisbat tumhaara
khayaal kya hai ? 37:87 phir sitaaroun ki taraf ek nazar daali 37:88(laa)

