Page 729 - Quran-e-Kareem
P. 729
rd
th
38 Sureh Swat (729) 23 para
Beshak ye hamaara wo atiyya hai jiska qaatma hone wala nahin 38:54 (laa)
yehi to hai. Aur sarkashon k liye zaroor anjaam bura hai 38:55 (laa) [yani]
jahannum jismein wo daakhil honge pas wo bahut bura bichona hai 38:56
yehi to hai pas chahiye k usko chakey kaisa khaolta pani hai kaisi peep hai
38:57 (laa) aur ussi shakl k aur bahut se groh honge 38:58 (toye) ye fouj ki
fouj tumhaare hi saath ghusne wali hai. Inko kaheen thikaana na mile. Ye
bhi jahannum mein daakhil hone wale honge 38:59 wo kahenge k tumhi
ko kaheen thikaana na mile, tumhi ne to hamaare liye pehle se ye tayyar
kiya hai, to ye kaisa bura thikana hai 38:60 phir arz karenge k aye hamaare
parwardigaar jisne ye rasta hamaare liye pehle se tayyar kiya hai to isi aag
mein uska azaab dogana badha de 38:61 aur wo kahenge k kya ho gaya hai
k hum unlogon ko nahin dekhte jinko hum badon mein se shumar kiya
kerte the 38:62 (toye) aaya unko humne musaqqar bana liya tha ya
nigahen unse phirgaeen hain 38:63 beshak ye ahle jahannum ka aapas
mein ladna berhaq hai 38:64 tum kehdo k main to sirf ek deraane wala
hoon aur siwaaye khuda e yekta o zabardast k koi aur mabood nahin hai
38:65 aasmanoun ka aur zameen ka aur jo kuch un donon k maabayn hai
unka parwardigaar barha zabardast (aur)

