Page 730 - Quran-e-Kareem
P. 730
rd
h
38 Sureh Swat (730) 23 para
Bada bakhashne wala hai 38:66 tum kehdo k wohi to khabar e buzurg hai
38:67 (laa) jisse tum rugerdan hone waale ho 38:68 mujhe aalam e baala ki
to khabar thi nahin jab k wo aapas mea jhagadte the 38:69 mujhe koi aur
wahi nahin ki jati hai magar ye k main khula daraane wala hoon 38:70 [us
waqt ko yaad karo] jab k tumhaare perwardigaar ne kul farishtoun se kaha
k main mitti se ek admi banaane wala hoon 38:71 phir jab main use bana
chukoon aur usmein apni [paida ki hui] ruh phoonk doon tum uske liye
sajde mein gir parhna 38:72 pas sabhi farishtoun ne to sajda kiya 38:73
(laa) na kiya to iblees ne. usne barhaayi chaahi aur kafiron mein shumar
kiya gaya 38:74 [khuda e taala ne] sawal kiya k aye iblees jisse maine apni
qudrat e khaas se paida kiya usse sajda kerne se tujhe kya cheez maane
aayi. Aya tune [khud se] barhaayi chaahi ya tu aala derje walon{illiyeen}
mein se ho gaya 38:75 arz kerne laga k main usse behtar hoon tune
mujhko aag se paida kiya hai aur usko mitti se banaaya hai 38:76 fermaya
tu yahan se nikalja, k tu raanda e dargaah hai 38:77 aur tujhper roz e jaza
tak k liye meri laanat hai 38:78 arz kerne laga k aye mere parwardigaar tu
mujhe usdin tak k liye mohlat dede jisdin ye maboos kiye jaayenge 38:79
fermaya tujhe {mohlat dee gayi} 38:80 waqt e maloom k din tak k liye
mohlat di gayi hai 38:81

