Page 732 - Quran-e-Kareem
P. 732
rd
th
39 Sureh Al-Zamur (732) 23 para
Apas mein ekhtelaf kiya kerte hain Faisla ferma dega. Yaqeenan khuda e
taala ne us shaqs ki rehbari nahin fermata jo jhoota bhi ho [aur] bada
munkir bhi 39:3 agar Allah ye chahta k koi beta banaaye to jo kuch wo
paida kerta hai usmein se jise chahta muntakhab kerleta, uski zaat aisi
baton se munazza hai. Wo yekta o zabardast khuda hai 39:4 usne
aasmanoun ko aur zameen ko theek [theek] paida kiya. Wo raat ko din
per dhaamp deta hai aur din ko raat per aur usne suraj ko aur chand ko
kaam mein laga diya hai. Har ek waqt e moiyyan tak k liye phirta rehta
hai. Khabardaar raho wo sab per ghalib aur barha bakhashne wala hai 39:5
ussi ne tumko ek zaat e wahid se paida ker diya. Phir ussi [ki bachi hui
mitti] se uska jorha bana diya aur tumhaare waaste chaopaiyon k aath jorh
utaar diye. Wo tumko tumhaari maon k pet mein teen andheriyon mein is
terha paida kerta hai k ek haalat k baad doosri halat [badalti chali jati hai]
wohi Allah tumhaara parwardigaar hai. Ussi ko her terha ka ekhtiyar hai.
Uske siwa koi mabood nahin, phir tum kidhar phire jate ho. 39:6 agar tum
kufrane nemat karo to Allah to tumse beperwah hai. Aur wo apne bandon
k liye kufrane e nemat ko pasand nahin kerta. Aur agar tum shukr karo to
wo usko tumhaare liye pasand karega aur koi uthane wala kisi doosre ka

