Page 790 - Quran-e-Kareem
P. 790
43 Sureh Az-zuqruf (790) 25 para
th
rd
Sunte nahin [hum] zaroor [sunte hain] aur hamaare bheje hue [farishte]
unke paas likhte jaate hain 43:80 tum kehdo k agar [khuda e] rehmaan ka
koi beta ho sakta (qiff) to sab se pehle ibaadat kerne waala to main hi hota
43:81 aasmanoun aur zameen ka parwardigaar, arsh ka malik un baton se
jo kuch ye log bayan kerte hain [yani beta waghaira hone se] munazza hai
43:82 ab inko chord do k ye baatein banaaya Karen aur khel kud mein
pade rahen taake usdin se inka samna ho jaaye jiska inse waada kiya jata
hai 43:83 aur wo [khuda] wohi hai jo asman mein [bhi] mabood hai aur
zameen mein [bhi] mabood hai aur wo hikmat wala [aur] janne wala hai
43:84 aur wo sahib e barkat hai jiske liye aasmanon ki aur zameen ki aur jo
kuch un donon k dermiyan hai uski badshaahat hai (jeem) aur qayamat
tak ka ilm uske paas hai aur ussi ki taraf tum sab ki bazgasht hogi 43:85
aur jinko ye khuda k siwa pukare the wo shifaayat ka ekhtiyar na rakhenge
siwaaye uske k jo haq ki gawahi de jiske haal mein wo jante bhi hon 43:86
aur agar tum unse deryaaft karoge k unko paida kisne kiya hai to wo
zaroor ye kahenge k Allah ne, phir ye kehdenge k kidher behke jaate hain
(laa) 43:87 aur Rasool k Ya Rab kehne ki qasam hai ye wo log hain jo
imaan na laenge (meem) 43:88 pas tum [bhi] inse

