Page 815 - Quran-e-Kareem
P. 815
48 Sureh Fatha (815) 26 para
th
th
Hikmat hai (laa)48:4 taake momin mardoun aur momin aurton ko aisi
jannaton mein daakhil kare jinke neeche nadiyan behti hain jinmein
hameshan [hameshan] rehne waale hon aur unse unki badiyon ko dur
kare aur yehi Allah k nazdeek badi kamyabi hai (laa)48:5 aur munaafiq
mardon aur munaafiq aurton ko aur mushrik mardon ko aur mushrik
aurton ko jo Allah ki nisbat bade bade gumaan kerte hain khoob saza de
un badiyon ka phir unhi per padega aur Allah unper ghazabnaak hoga aur
unper laanat karega aur unke liye jahannum tayyar ker rakha hai aur [wo]
bahut hi bura thikana hai 48:6 aur aasmanoun k aur zameen k lashker
Allah hi k hain aur Allah zabardast aur hikmat wala hai 48:7 [ae Rasool
s.a.w.a] batehqeeq humne tumko gawaahi dene wala aur khush khabri
pahunchane wala aur daraane wala banaker bheja hai (laa)48:8 taake tum
log Allah per aur uske Rasool s.a.w.a per imaan lao aur Allah ko quwwat
pahunchao aur uski azmat karo aur subah aur shaam uski paki bayaan
kiya karo 48:9 [aye Rasool s.a.w.a] haqeeqat mein jo log tum se bayat kerte
hain wo to Allah se bayat kerte hain, unke hathon per Allah hi ka hath

