Page 810 - Quran-e-Kareem
P. 810
47 Sureh Muhammad (810) 26 para
th
th
Bahut zyada thi (jeem) humne unko halaak kerdiya phir unka koi
madadgar na utha 47:13 kya wo shaks jo apne parwardigaar ki taraf se
daleel per hua uske manind ho sakta hai jiski nazar mein uski bad amaali
zeenat dedi gayi ho aur unhone apni apni khwahishon ki pairawi ki ho.
47:14 us Jannat waaloun ki misl jiska perhez garon se wada kiya gaya hai k
usmein kuch nadiyan to aise paani ki hongi jiski bu ya maza badla hua na
hoga aur kuch nadiyan doodh ki aisi hongi jinka maza badla hua na hoga
aur kuch nadiyan aisi sharaab ki hongi jisse peene walon ko maza aajaega
aur kuch nadiyan saaf kiye hua shahed ki hongi aur un logon k liye us
[jannat] mein har qism k mewe honge aur unke parwardigaar ki taraf se
maafi kaheen us shaqs k manind ho sakti hai jo dawaaman {hamesha}
jahannum mein rahega aur jisko aisa garma garam paani pilaaya jaayega k
unki atdiyan kaat kaat dalega 47:15 aur un mein se koi koi unmein se aisa
bhi hai jo tumhaari baatein ghour se sunta hai yahan tak k jab tumhaare
paas se uthker chale jaate hain to un logon se jinko ilm diya gaya hai kehte
hain k abhi is [rasool s.a.w.a] ne kya kaha tha, yehi wo log hain jin k dilon
per khuda ne mohr laga di hain aur wo apne hi khwaahishon k pairo ho
gaye hain 47:16 aur jo log hidaayat yaafta ho gaye unki hidaayat ko aur
zyada kerdega aur unko parhezgaari ki toufeeq ataa fermaayega 47:17 pass
kya qayamat k siwa wo aur kisi cheez k muntazar

