Page 820 - Quran-e-Kareem
P. 820
48 Sureh Fatha (820) 26 para
th
th
To Allah ne bhi taskeen apne Rasool s.a.w.a per aur momineen per naazil
kerdi aur unke liye kalma e taqwa laazim kerdiya aur wo the [bhi] iske
mustahaq aur iske ahal (toye) aur Allah har cheez ka [pura pura] jaanne
wala hai (ain) 48:26 beshak Allah ne apne Rasool s.a.w.a k barhaq khwaab
ko sachha ker dikhaaya (jeem) k agar Allah ne chaaha to tum amn o
amaan k saath apne siroun ko mundaate huye aur baal katwaate huye
masjid ul haraam mein daakhil hoge [phir kabhi tumko khaof pesh na
aaega (toye) Pas wo janta tha jo tum nahin jaante, phir usne iske alaawa ek
aur fatha khareeb muqarrar farmaadi 48:27 wo wohi to hai jisne apne
Rasool s.a.w.a ko hidaayat deen e haq k saath bheja k usko tamaam
deenoun per ghalib kerde aur dekh bhal k liye Allah hi kafi hai (toye)48:28
Muhammad s.a.w.a Allah k Rasool hain (toye) aur jo bhi haqeeqatan unke
saath hain wo kafiron per bhaari hain aur aapas mein rehem dil tum unko
ruku aur sujood ki haalat mein dekhoge k wo khuda k fazal aur uski
khushnahoodi k khwaastagar hain. Unki alaamatein unke chehron per

