Page 821 - Quran-e-Kareem
P. 821
49 Sureh Hijrat (821) 26 para
th
th
Sajdon k aasaar se numayan hain. Ye misl to unki Taurayt mein bayaan
kigayi hai (jeem) aur injeel mein unki misl ye hai (jeem) k wo kheti k
maanind hain k usne apni kopal nikaali phir uswaqt pahunchai phir wo
moti hogayi, phir apne tane per khadi ho gayi. Ab kheti kerne walon ko
achi maloom hoti hai taake unke zariye se kuffar ko ghussa dilaaye (toye)
Allah ne un logon se jo unmein se imaan laaye hain aur nekokaar hain
maghferat ka aur bahut bade ajr ka wada kerliya hai 48:29
SURAH HIJRAT MADINAH SUREH 18 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehmaan o raheem k naam se [shuruu karta hun]
Ae imaan laane walo Allah aur Allah k Rasool s.a.w.a se aage na badho aur
Allah se daro beshak Allah sunne wala [aur] janne wala hai 49:1 aye imaan
laane walo apni awaazon ko nabi s.a.w.a ki awaaz per buland na karo aur
na baat kerne mein un se aise zor zor se bolo

