Page 823 - Quran-e-Kareem
P. 823
49 Sureh Hijrat (823) 26 para
th
th
Padhjaoge lekin Allah ne apne fazl o karam se imaan ko tumhaare
mehboob bana diya hai aur usko tumhaare dilon mein zeenat dedi hai aur
kufr o nafermani aur gunah ko tumhaare liye napasand qarar de diya hai
(toye) aise hi log hoshiyar hain (laa) 49:7 ye Allah ka fazl aur uski nemat
hai (toye) aur Allah bada jaanne wala [aur] hikmat wala hai 49:8 aur agar
mominoun k do groh aapas mein laden to unke maabain sulah karaado
(jeem) phir agar un donon mein se ek doosre per zyaadati kare to usse jo
zyaadati kerta hai larho taake wo Allah k faisle ki taraf ruju kare (jeem)
pass agar ruju kare to insaf se un donon k maabain islaah kerdo aur
adaalat berto (toye) beshak Allah adaalat beratne walon ko dost rakhta hai
49:9 siwaaye iske nahin k momineen bhai [bhai] hain, pas tum apne
bhaiyon k dermiyan islaah karo aur Allah se derte raho taake tum per
rehem kiya jaaye (ain) 49:10 aye wo logo jo imaan laaye ho, na to mard
mardoun ki hansi udaye k shayad wo [anjaam mein] unse behtar hon aur
na aurtein

