Page 828 - Quran-e-Kareem
P. 828
50 Sureh Qaaf (828) 26 para
th
th
Rasooloun ko jhutlaaya phir mera daraawa bhi pura utra 50:14 kya hum
pehli dafa k paida kerne se thak gaye hain (toye) ye aur baat hai k wo
pehli hi mertaba k paidaish k baare mein shak mein hain (ain) 50:15 aur
yaqeenan humne hi insaan ko paida kiya hai aur jo jo kuch uska nafs uske
dil mein waswasey dalta hai usse bhi hum khoob jante hain (jeem) aur
hum uske shairag e gardan se bhi zyada qareeb hain 50:16 jabke daayen se
aur baayen se do lene waale baithe baithe har baat ko lete jaate hain 50:17
ek baat bhi mu se aisee nahi nikaalta k uske liye nigraan paas hi moujud
na ho 50:18 aur maot ki ghaflat jo barhaq hai aa pahunchi (toye) yehi to
hai jisse tu katrata phirta tha 50:19 aur soor phoonk diya gaya (toye) wo
daraawe ka din yahee to hai 50:20 aur har nafs [is shaan se] aayega k ek
haankne waala aur ek gawaah uske saath saath hoga 50:21 tu issi se to
ghaflat mein tha so ab humne tera perda hata diya, so aaj teri nazar barhi
taez hai 50:22 aur uska hum nasheen ye kahega k mere paas jo kuch hai ye
haazir hai (toye) 50:23 [aur haankne waale aur gawaah ko hukum hoga ke]
tum donoun har munkir sarkash ko jahannum mein daaldo (laa) 50:24 jo
nekiyoun se bada rokne wala, zyaadati kernewala, shak kerne wala tha
(laa) 50:25 [aur ] jo

