Page 831 - Quran-e-Kareem
P. 831
51 Sureh Zariyaat (831) 26 para
th
st
Qasam hai un hawaon ki jo [bikher ker] udhne wali hain (laa) 51:1 phir
un badliyon ki jo [baarish] ka bojh uthaane waali hain (laa)51:2 phir un
kashtiyon ki jo ba aasaani chalne wali hain (laa)51:3 phir un farishtoun ki
jo kaam taqseem kerne waale hain (laa)51:4 beshak jis cheez ka tumse
waada kiya jata hai wo sachhi hai (laa)51:5 aur badla zaroor milne waala
hai (toye) 51:6 aur qasam hai raastoun waale aasmaan ki (laa) 51:7 k tum
jhagde ki baat mein ho (laa)51:8 jisse wohi gumraah ho jata hai jo
gumraah kerdiya gaya (toye)51:9 ghaarat ho ye atkal pachu baatein
banaane waale (laa)51:10 jo jehaalat k bhanwar mein ghaafil hain
(laa)51:11 aur poochte hain faisle ka din kab aayega? (toye)51:12 [usdin
aayega] jisdin unko jahannum mein azaab diya jaayega 51:13 [aur ye kaha
jaayega ke] apne azaab ka maza chakho (toye) wo yehi hai jiski tum jaldi
kiya kerte the 51:14 beshak perhezgaar log jannatoun aur chashmon [ki
sarzameen] mein honge (laa)51:15 unke parwardigaar ne jo kuch ataa kiya
hoga uska lutf uthane wale honge (toye) beshak wo us se pehle nek o kaar
the (toye) 51:16 [aur] raaton ko wo kam soya kerte the 51:17 aur subah ko
wo maghferat talab kiya kerte the 51:18 aur unke maalon mein maangne
walon ka

