Page 835 - Quran-e-Kareem
P. 835
52 Sureh al-tur (835) 27 para
th
nd
Nafa degi 51:55 aur mein ne jinnoun ko aur admiyoun ko nahi paida kia
mager isliye k meri ibaadat kia Karen 51:56 mein unse koi rozi tu nahi
chaahta aur na mein ye chahta hoon k wo mujhe kuch khiladia Karen
51:57 beshak allah wohi tu bara rozi deney wala quwwat waala (aur
zaberdast) hai 51:58 pus yaqeenan in logon k liye jinhoney nafermani ki
hai waisa hi charsa bhara hua hai (yaani itna hi azaab hai) jaisa k unke
(pehley) hum rutba logon k liye charsa bhara tha 51:59 pus wo merey
azaab k liye jaldi na Karen pass unlogon k liye jo ussdin k munkir hain
jisdin ka unsey wada kia jata hai kharabi hai 51:60 (hamza)
Surah Al-Tur (makee) 49 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahmaan o Raheen khuda k naam se (shuru kerta hoon)
Qasam hai tur ki 52:1 (laa) aur phaylee hui jhilli(chamre) mein 52:2 (laa)
likhi hui kitaab ki 52:3 (laa) aur bait al mamoor ki 52:4 (laa) aur buland ki
hui chatt ki 52:5 aur bharey huye samander ki 52:6 (laa) yaqeenan
tumhaarey parwardigaar ka azaab waaqayi honay waala hai 52:7 (laa) jiska
koi dafa karne waala na hoga 52:8 (laa) jiss din k aasman barhey zor se
chakkar khayega 52:9 (laa) aur pahardh apni jagah se harkat kerkey

