Page 854 - Quran-e-Kareem
P. 854
56 Sureh Al-waqia (854) 27 para
th
th
aur na unkey hosh-o-hawas gum hongey 56:20 (laa) aur pehel wo laingey
jinko ye pasand kerlein 56:21 (laa) aur parindon ka gosht (aesa) jisko inka
jee chahey 56:22 (toye) aur bari bari aankhon wali hoorein 56:23 (laa) aesi
jaisey chupey huye moti 56:24 (jeem) jo naik amal ye kiya kertey they ye
uska awaz hoga 56:25 siwaaye salam aur salam kehney k wo jannat mein
na koi laghooyat suneingey 56:26 (laa) aur na koi gunah ki baat 56:27 aur
dahiney hath waley (laa) kia kehney dahiney hath walon key 56:28 (toye)
wo baghair kanton ki jhuki hui baeriyon mein hongey 56:29 ( laam) aur
tayh-ba-tayh keeloun mein 56:30 (laa)aur pheley huye saaye mein 56:31
(laa) aur behtey huye pani mein 56:32 (laa) aur bohhot sey meve mein
56:33 (laa) jo na khatam hoga aur na roka jayega 56:34 (laa) aur oounchey
oounchey farshon per hongey (aur hoorein bhi unko milengi) 56:35 (toye)
humney yaqeenan unko bilkul naya paida kia hai 56:36 (laa) phir humney
unko kuwariyan 56:36 (laa) pyar dilaney waliyan 56:37 (laa) aur humsin-e-
khasker daheney hath walon key liye qarar dia hai 56:38 (toye) (hamza) ye
bohhot sey pehlon mein sey hongey 56:39 (laa) aur bohhot sey pichlon
mein sey hongey 56:40 (toye) aur baen hath waley (laa) kia buri gath hogi
baen hath walon ki 56:41 (toye) aag ki tapish mein aur kholtey pani mein
56:42 (laa) aur siyaah dhoen key saaye mein hongey 56:43 (laa) jo na

