Page 858 - Quran-e-Kareem
P. 858
57 Sureh Al-Hadid (858) 27 para
th
th
Surah Al-Hadid (Madni) 29 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o Raheem khuda key naam sey (shuru kerta hoon)
Aasmanon mein aur zameen mein jo (jo) kuch hai wo khuda ki paaki
bayan kerta hai (jeem) aur khuda ghalib aur (hikmat) wala hai 57:1
aasmanon ki aur zameen kibadhshahat ussi ki hai (jeem) wohi jalata hai
aur wohi marta hai (jeem) aur wohi her cheez per poori (poori) qudrat
rakhney wala hai 57:2 wohi awal hai aur wohi akhir aur wohi ghalib hai
aur wohi haqeeqat sey agah (jeem) aur wohi her cheez ka janney wala hai
57:3 wo wohi hai jisney aasmanon ko aur zameen ko chae din mein paida
kia phir arsh per (uska hokum) ghalib aya (toye) wo (usko) bhi khoob
janta hai jo kuch zameen mein daakhil hota hai aur usko (bhi) jo usey
nikalta hai aur usko (bhi) jo aasman sey utarta hai aur usko (bhi) jo kuch
aasmanon mein chardh jata hai (toye) aur jahan kahin tum hotey ho wo
tumhaarey sath (sath) hai aur jo amal tum kertey ho Allah uska nigraan
hai 57:4 aasmanon ka aur zameen ka ikhtiyaar ussi ko hai (toye) aur qul
mamlaat ki baazghasht Allah hi ki taraf hai 57:5 wo raat ko din mein
daakhil kerdeta hai aur din ko raat mein daakhil kerdeta hai (toye) aur
dilon key

