Page 869 - Quran-e-Kareem
P. 869
58 Sureh Al-Mujadila (869) 28 para
th
th
aur logon ko rah-e-khuda se baaz rakha hai pus unkey liye zilat deney wala
azaab (tayar) hai 58:16 (azaab) khuda se bachaaney k liye na unkey maal
kuch unkey kaam ayengey aur na unki aulaad (toye) wohi jahanumi hain
(toye) (aur) wohi usmein hamesha (hamesha) rehney waley hongey 58:17
jisdin allah tallah unko ek sath maboos karega tu ye uskey samney bhi ishi
tarhaan qasam khaengey jaisey k tumhaarey samney halaf uthatey hain aur
gumaan ye karengey k wo kuch tu raaste per hain (toye) khaberdaar raho
k woh log zaroor bil zaroor jhootey hain 58:18 shaitaan unper ghaalib
Aagaya hai aur unko yaad-e-khuda bhuladi hai (toye) wo shaitan ka groh
hain (toye) khaberdaar rehna k shaitan ka guroh wohi tu tota{ghaata}
uthaney waley hain 58:19 beshak jo log allah aur uskey rasool se muqalifat
kertey hain sab se ziada zaleelon mein wohi hain 58:20 ye tu allah likh
chukka hai k mein aur merey rasool zaroor bil zaroor ghalib rahengey
(toye) yaqeenan allah qoowat wala (aur) zaberdast hai 58:21 tum unlogon
ko jo allah aur qayamat k din per imaan rakhtey hain aesey logon se dosti
kertey na paogey jinhoney allah aur uskey rasool ki muqalifat ki ho goh
wo unkey

