Page 870 - Quran-e-Kareem
P. 870
59 Sureh Al-hashr (870) 28 para
th
th
baap (dada) hon ya unkey betey (potey) ya unkey bhai (band) ya unka
kunba (qabeela) (toye) wohi tu hain jinkey dilon mein allah tallah ne
imaan ko likh dia hai aur apni taraf se rooh (imaan) se unki taeed fermai
hai (toan) aur inko aesi jannatoun mein daakhil karega jinkey neechey
neherein behti hongi hamesha (hamesha) unhi mein rehney waley hongey
(toye) allah unsey raazi hogaya aur wo usey raazi hogaye (toye) wohi
khuda ka guroh hain (toye) agah raho k khuda ka guroh wohi tu (poori
poori) falah paney waley hain 58:22
Sureh al-Hashr (madnee) 24 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehmaan (o) raheem khuda k naam se (shuru kerta hoon)
Jo kuch asmaanon mein hai aur jo kuch zameen mein hai usney khuda ki
tasbeeh ki (jeem) aur wo ghalib (aur) hikmat wala hai 59:1 wo wahi hai
jisney ahl-e-kitaab mein se un logon ko jo kafir hogaye they unkey gharon
se pehli mertaba jala watan kerdia (toye) tum ko ye gumaan bhi na tha k
wo nikal jaingey aur unko khayal ye tha k unkey qiley unko (azaab) e
khuda se bachaney waley hain

