Page 874 - Quran-e-Kareem
P. 874
59 Sureh Al-hashr (874) 28 para
th
th
hon unki larai apas mein hi sakht hoti hai (toye) tum tu unko mutafiq
khayal kertey ho halankey unkey dil mutafarriq hain (toye) ye isliye k wo
aesey log hain jo aqal nahi rakhtey 59:14 (jeem) un ki misaal un logon ki si
hai jo abhi (abhi) un sey pehley apney kiye ki saza ka maza chakh chukey
hain (jeem) aur unkey liye (akhirat mein bhi) dardnaak azaab hai 59:15
(jeem) (ya) un (munafiqon) ki halat shaitan ki si hai jiswaqt usney insaan
se kaha k tu kafir hoja (jeem) tu jab wo kafir hogaya tu ye kehdia k mein
tujhsey alag hoon mein tu tamam alam k parwardigaar khuda se darta
hoon 59:16 pus nateejah undonon ka ye hua k wo dono jahannum mein
jaingey (aur) dono hamesha ussi mein rehney waley hongey (toye) aur
nafermanon ka badla hai bhi yehi 59:17 (ain) aye imaan laney walon allah
se daro aur her shaks ko ghor kerna chaiye k wo kal (roz-e-qayamat) k
wastey kia bhejta hai (jeem) aur allah se daro beshak allah jo (jo) kuch tum
kertey ho usey bakhaber hai 59:18 aur unlogon ki maanind na banjao jo
allah ko bhool gaye pus allah ney bhi unko unka Aapa bhuladia (toye)
wohi tu naferman hain 59:19 jahannum waley aur jannat waley baraber
nahi hain (toye) jannat waley

