Page 895 - Quran-e-Kareem
P. 895
66 Sureh Al-Tahrim (895) 28 para
th
th
aesi azwaaj dedey jo tumsey behter ho fermaberdai kerney waliyan imaan
waliyan ataat kerney waliyan tauba kerney waliyan ibaadat kerney waliyan
roza rakhney waliyan shoher deeda aur kuwariyan 66:5 imaan laney walon
apney aapey ko aur apney baal bachon ko us aag se bachao jiska eendhan
aadmi hain aur pather uspey nihayat tundhkhoon aur sakht mizaaj
farishtey muqarrar hain jo khuda tallah ki kisi baat mein jiska wo unko
hukum deta hai nafermani nahi kertey aur jis baat ka unko hukum dia jata
hai wohi baja laatey hain 66:6 aye wo logon jo kafir hogaye ho aaj k din
tum koi uzzar na karo (toye) siwaye iskey nahi k jo amal tum kia kertey
they ussi ka badla dia jaata hai 66:7 (hamza) aye imaan laaney walon
khuda k huzoor mein aser pazeer {asardaar} taubah karo (toye) khareeb
hai k tumhaara parwardigaar tumsey tumhaari buraiyon ko duur kerdey
aur tumko (us din) aesi jannatoun mein daakhil kare jinkey neechey
nadiyan behti hongi (us din) jisdin khuda tallah nabi ko aur unlogon ko jo
unkey sath imaan laye hain ruswa na karega (jeem) unka noor unkey
samney aur unkey daayein hath chalta hoga aur wo ye kehtey hongey k
aye hamarey perwerdigaar tu hamarey noor ko hamarey liye poora kerdey

