Page 894 - Quran-e-Kareem
P. 894
66 Sureh Al-Tahrim (894) 28 para
th
th
Surah Al-Tahrim (Madnee) 12 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Aye nabi jo kuch allah ney tumhaarey liye halaal qaraar dia hai tum usey
kyu haram kertey ho? (jeem) kia tum apni bibiyon ki khushnodi chahtey
ho ? (toye) allah bara bakhshney wala (aur) bara reham kerney wala hai
66:1 khuda tallah ney tumhaarey liye (kufara se) tumhaari qasmon ka
tordh dena moqarar fermadia hai (jeem) aur allah tumhaara malik hai
(jeem) aur wo bara jaaney wala (aur) hikmat wala hai 66:2 aur jiswaqt nabi
ney apni kisi zauja se ek baat bator-e-raaz k kahi (jeem) aur usney us raaz
se kisi aur ko agah kerdia aur allah ney apney nabi per ye mamla kholdia
tu nabi ney kuch hisa tu uska jatladia aur kuch hisa se chasham poshi ki
(meem) phir jiswaqt (jeem) nabi ney us (aurat) isey matlah kia tu wo
kehney lagi k apko iski khaber kisney di (toye) fermaya mujhko barey
janey waley (aur) barey khaberdaar ney khaber di 66:3 ager tumdono
khuda k huzoor mein tobah kerlo (tu behter hai )pus tumdono k dil haq
se zaroor munharif hogaye hain (jeem) aur ager tumdono hamarey rasool
k berkhilaaf ek doosrey ki pusht-o-panah bano to allah aur jibrael aur
swaleha momineen uskey madadgaar hain (jeem) aur badh iskey qul
farishtey uski pushti per hain 66:4 ager wo tumko talaq dedey tu qareeb
hai key uska parwardigaar badley mein usko

