Page 890 - Quran-e-Kareem
P. 890
65 Sureh Al-Talaq (890) 28 para
th
th
siwaye iskey nahi hai k tumhaare maal aur tumhaari aulaad (tumhaarey
liye) ek aazmaish hain (toye) aur allah jo hai uskey pass bohhot bara ajar
mojood hai 64:15 pus jahan tak tumsey ban pare allah se daro aur (uski
nasihat) suno aur (uskey ahkaam) mano aur apni zaat ki behtari k liye
(uski rah mein ) maal kharch karo (toye) aur jo shaks apney nafs ki
kanjoosi se bachalia gaya pus wohi tu (poori poori) falah paney waley hain
64:16 ager tum allah ko qarz-e-husna dogey tu wo usko tumhaarey liye
dochand kerdega aur tumhaarey gunah bakhshdega (toye) aur allah bara
qaderdaan (aur) bara burdbaar hai 64:17 (laa) khuli aur chupi ka janey
wala zaberdast (aur) sahib-e-hikmat hai 64:18 (hamza)
Surah Al-Talaq ( madnee) 12 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehmaan o Raheem khuda k naam se (shuru kerta hoon)
Aye nabi jab tumlog aurton ko talaq do tu unkey idaah k (yani haiz se
paak honey ke) waqt talaq do aur iddey ka shumaar rakho (jeem) aur allah
apney parwardigaar se dartey raho (jeem) na tum unko unkey gharon se
nikalo (meem) aur na wo khudh niklein siwaye iskey k unhon ney koi
khuli behayai ki ho (toye) aur ye khuda ki

