Page 923 - Quran-e-Kareem
P. 923
76 Sureh Dehr (923) 29th para
th
Aur pindli per pindli laptegi (laa) 75:29 tere parwardigaar ki huzoor mein
janeka wohi din hai (toye) (ain) 75:30 pas usne tasdeeq ki aur na namaz
padhi (laa) 75:31 balke jhutlaya aur muh modha (laa) 75:32 phir wo apne
ahel o ayaal ki taraf akadta hua gaya (toye) 75:33 afsos hai tere liye phir
afsos hai (laa) 75:34 phir afsos hai tere liye phir afsos hai (toye) 75:35 kya
insaan ye gumaan kerta hai k wo yunhi chord diya jaayega (toye) 75:36 kya
wo mani ka ek nutfa na tha jo [rehem mein] dala jata hai (laa) 75:37 phir
wo basta khoon ho gaya [khuda ne us se] surat ko paida kiya (laa) 75:38
phir theek thaak ker diya phir ussi jode ko paida kiya [yani] ner o mada
kerdiya (toye) 75:39 kya wo isper qadir nahin hai k murdon ko zinda kerde
(ain) 75:40
SURAH DEHR MAKEEH SUREH 31 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehmaan o raheem k naam se [shuruu karta hun]
Yaqeenan insaan per ek aisa waqt aaya hai k wo koi cheez hi na tha jo zikr
kiya jata 76:1 beshak humne insaan ko [zan o mard ke] mile hue nutfe se
paida kiya (qaaf)

