Page 919 - Quran-e-Kareem
P. 919
74 Sureh Mudassir (919) 29th para
th
Paak kerdalo 74:4 aur mael kuchayl ko dho daalo 74:5 aur neki us liye na
kiya karo k [us se] zyada ki khwahish kiya rakho (laa) 74:6 aur apne
parwardigaar k liye sabr karo (toye) 74:7 pas jis waqt sur phoonka jaayega
74:8 to wohi din to kafiron per saqt din hoga (laa) 74:9 asaan na hoga
74:10 mujhe us se bhughat lene do jise main ne {waheed} akela paida kiya
(laa) 74:11 aur use bahut sa maal diya (laa) 74:12 aur ankhon k samne
rehne wale bête diye (laa) 74:13 aur uske liye bahut saaz o samaan hum
pahuncha diye (laa) 74:14 phir bhi wo tama rakhta hai k main aur
badhadoon 74:15 hargiz aisa na hoga wo to hamaari nashaniyon ka
dushman hai 74:16 ankhareeb main use bulandi per lejaoonga (toye)74:17
yaqeenan usne ghour kiya aur andaza kiya (laa)74:18 pas wo gharat kiya
jaaye usne kaisa andaza kiya (laa)74:19 phir wo gharat kiya jaaye usne
kaisa andaza kiya (laa)74:20 phir usne ghour kiya (laa)74:21 phir usne
tewri chadhai aur muh banaaya (laa) 74:22 phir peeth pheri aur takabbur
kiya (laa) 74:23 phir ye kaha k kuch bhi nahin hai magar jaadu jo pehle se
chala aaya hai (laa) 74:24 ye kuch bhi nahin hai magar kisi admi ka qoul
(toye) 74:25 ankhareeb main use bhadakti hui aag main bhejoonga 74:26
aur tumko kya khabar hai k bhadakti hui aag kya hai (toye) 74:27 wo na
koi cheez bakhi rakhti hai aur na chordti hai (jeem) 74:28 admi jhulas ker
siya kerdene wali hai (jeem) 74:29 usper unees [19] farishte muwakkil hain
(toye) 74:30 aur humne jahannum k darogha

