Page 928 - Quran-e-Kareem
P. 928
77 Sureh Mursalat (928) 29th para
th
Thanda hai aur na aag ki lapat se bachaega (toye) 77:31 wo aag aisi [badi
badi] chingariyan phainkti hogi jaise [badi badi] mehel (jeem) 77:32 goya
wo zard oont hai (toye) 77:33 ussdin in jhutlane walon ki [badi] shamat
aaegi 77:34 yehi wo din hai k wo [pareshani k mare] bol na sakenge (laa)
77:35 aur na unko iski ijazat di jaegi k wo kuch uzr o maazeratt Karein
77:36 usdin in jhutlane walon ki [badi] shamat hogi 77:37 yehi to faisle ka
din hai [aaj] (jeem) humne tumko aur pehlon ko ekhatta ker liya hai 77:38
agar tumhen koi chaal chalni aati hai to wo mujh se chalo 77:39 us din in
jhutlane walon ki [badi] shamat aaegi 77:40 beshak perhezgar log sayon
mein aur chashmon mein 77:41 aur aise mewon mein [basar kerte] honge
jinki wo khwahish karenge (toye) 77:42 [unse kehdiya jaayega ke] jo amal
e nek tum kiya kerte the uske awaz mein chaen se khao piyo 77:43 hum
neko karon ko aisa hi badla diya kerte hain 77:44 us din un jhutlane walon
ki [badi] shamat aaegi 77:45 naseehat k taur per unse kaha jata hai k is
dunya mein khalo aur chand roz nafa uthalo k zaroor tum gunahgar ho
77:46 us din in jhutlane walon ki [badi] shamat aaegi 77:47 aur jab unse
kaha jata hai k ruku karo to wo ruku nahin kerte 77:48 usdin in jhutlane
walon ki [badi] shamat aaegi 77:49 pas is [Quran] ka baad wo konsi baat
per imaan laayenge 77:50

