Page 405 - Quran-e-Kareem
P. 405
13 Sureh raad (405) 13 para
th
th
Aur aulaad bhi aur kisi Rasool ka ye kaam na tha k baghair hukum e
khuda koi alamat zahir kare. Har waqt e muqarrara k liye ek tehreeri
hukum hai 13:38 Allah jisse chahta hai mahv ker deta hai aur jo chahta hai
qayam ferma deta hai aur asl e kitaab ussi k paas hai 13:39 aur jin jin
cheezon ka hum unse wada kerte hain kha unmein se baaz tumko
dikhlean ya tumko [pehle hi] uthalen, pas tumhaare zimme to bas
pahuncha dena hai aur hisaab lena hamare zimme hai 13:40 kya wo ye
nahin dekhte k hum zameen ko uske atraf se baraber kam kerte chale
aarahe hain aur Allah hukum deta hai uske hukum ka rokne wala koi
nahin hai aur wo sabse tez hisaab lene wala hai 13:41 aur jo log unse pehle
the unhone yaqeenan chalen chaleen magar tamaam chalon ka badla dena
to Allah ka kaam hai. Har nafs jo kuch kerta hai Allah usse waqif hai aur
anqareeb kuffar bhi jaan lenge k us ghar ka anjaam kiske liye hai 13:42
aur jo log kafir ho gaye wo ye kehte hain k tum kisi k bheje hue nahin ho.
Tum ye kehdo k mere aur tumhaare dermiyan gawahi dene [ek to Allah]
kafi hai aur [doosre] wo jinke paas is kitaab ka pura ilm hai 13:43

