Page 410 - Quran-e-Kareem
P. 410

14     Sureh Ibrahim                (410)                13   para
                                                                                   th
                         th

               Hoga.14:17 Jin logon ne apne parwardigaar ka inkaar kiya unki halat ye


               hai k unke amaal uss raakh k maanind hai jisko aandhi k din tez hawa uda

               lejaegi. Jo kuch unhone kiya hoga uske kisi juz per ekhtiyar na rakhenge,


               inteha derje ki naakaami yehi to hai 14:18 kya tumne ismea ghour nahin

               kiya k Allah ne asmaanon ko aur zameen ko gharz e saheeh k saath paida


               kiya hai. Agar wo chahe tumko dur kerde aur nayi maqlooq le aaye 14:19


               aur ye Allah k liye zara bhi dushwar nahin hai 14:20 aur [jis waqt] sab

               khuda ki huzoor mein nikal ker jama honge uswaqt choti aqlon waale jo


               unse barhey ban gaye the ye kahenge k [hazrat] hum to apke pairo the to

               ab aaj aap humko kuch azaab e khuda se bhi bacha lenge. Wo kahenge k


               agar Allah koi muqleesi ka rasta humko bataaega to hum tumko bhi bata


               denge. Magar hamare liye to donon halaten baraber hai khwaah hum roye

               peeten ya sabr-o-sukoot ekhtiyar Karen, hamare liye to koi chutkara nahin


               hai 14:21 aur jab sab mamla chuk jaayega to shaitan ye kehdega k Allah ne


               to tum se sachha wada kiya tha aur maine jo tumse wada kiya tha pas

               maine
   405   406   407   408   409   410   411   412   413   414   415