Page 411 - Quran-e-Kareem
P. 411

14     Sureh Ibrahim                (411)                13   para
                                                                                   th
                         th

               Tumse uske khilaf kiya aur mera to tumper koi khabu tha hi nahin


               siwaaye uske k maine tumko bulaya tha aur tumne maan liya tha. Pas tum

               mujhe malamat na karo, apne aaphi ko malamat karo. Ab na main


               tumhaara feryaadras ho sakta hoon aur na tum mere feryadras ho sakte ho.

               Jiska tumne mujhko shareek banaaya tha mainto uska pehle hi se munkir


               ho chukka tha. Yaqeenan jo nafermaan hain unhi k liye dardnaak azaab


               hai. 14:22 aur jo log imaan laaye aur unhone nekiyan bhi ki wo un

               jannatoun mein daakhil kiye jaayenge jinke neeche nadiyan behti hain aur


               apne parwardigaar k hukum se hameshan unhi mein rehne wale honge aur

               wahan ek doosre ki mubarakbaad aur salam alaik hogi. 14:23 kya tumne ye


               khayal nahin kiya k khuda e taala ne paak kalme ki misaal kaisi bayan ki


               hai. k wo k umdah darakht ki maanind hai uski jad khayam hai aur uski

               shaaq asmaan per pahunchi hui hai. 14:24 har zamaane mein wo khuda k


               hukum se apna phal deta rehta hai aur ye misalen khuda e taala admiyoun


               k liye is gharaz se bayan kerta hai k wo yaad rakhen 14:25 aur napaak

               kalme ki misaal
   406   407   408   409   410   411   412   413   414   415   416