Page 412 - Quran-e-Kareem
P. 412
14 Sureh Ibrahim (412) 13 para
th
th
Bad haisiyat darakht ki si hai k zameen k upper hi upper se noch liya jae.
Uska qayam kuch bhi naho 14:26 jo imaan laye hain unko to Allah
zindagaani e dunya mein aur akhirat mein pakki baat per qayam rakhega
aur zaalimoun se Allah toufeeq e hidaayat salb ker lega aur Allah jo chahta
hai karega 14:27 kya tumne unke bare mein ghour nahin kiya jinhon ne
khuda ki nemat ko na shukri se badal diya aur apni qoum ko halakat k
ghar [yaani] jahannum mein ja utaara 14:28 wo sab usmein jaayenge aur
wo bahut bura thikana hai 14:29 aur unhone Allah k kuch shareek qaraar
dediye k logonko uski raah se bhatkaen. Tum kehdo k [chand roza] nafa
uthalo k tumhaari bazgasht to yaqeenan jahannum hee ki taraf hai 14:30
mere un bandoun se jo imaan laye hain kehdo k namaz padha Karen aur
us din k aane se pehle k jis din na koi sauda hoga aur na yaari dosti [kaam
degi]. Jo kuch humne unko diya us mein se posheeda aur zahir tour per
hamaari raah mein kharch kiya Karen. 14:31 Allah wohi to hai jisne
aasmanoun aur zameen ko

