Page 414 - Quran-e-Kareem
P. 414
14 Sureh Ibrahim (414) 13 para
th
th
[baaz ko] tere mohtaram ghar k paas aise jungal mein jismein kheti badi
kuch nahin hai abaad kerdiya hai taake aye hamare parwardigaar wo [aur
uski aulaad] namaz padha Karen. Pas admiyoun mein se baaz k dil unki
taraf mayal o girwidah kerdijio aur unko phalon se rozi pahunchaiyo taake
wo shukr adaa kiya kare 14:37 aye hamare parwardigaar yaqeenan tu us
sab ko janta hai jo kuch hum chipate hain aur jo kuch hum zahir kerte
hain aur Allah per zameen ki aur asmaan ki koi cheez posheeda nahin hai
14:38 sab tareef Allah k liye sabit hai jisne mujhe bawajood budhape k
Ismaeel a.s. aur Ishaq a.s. inayat fermaye. Beshak mera parwardigaar bada
dua ka sunne wala hai 14:39 aye mere parwardigaar mujhko namaz guzar
kharar de aur meri aulaad mein se bhi. Aye hamare parwardigaar meri
ibaadat khubool ker. 14:40 aye hamare parwardigaar jisdin hisaab liya
jaayega [us din] mujhe aur mere ma baap ko aur momineen ko baksh
dijio. 14:41 aur jo amal ye zalim kerte hain us se Allah ko kabhi ghaafil na
samajhna siwaaye uske nahin hai ke

