Page 495 - Quran-e-Kareem
P. 495
19 Sureh Maryam (495) 16 para
th
th
Tum ye kehdo k jo shaqs gumrahi mein honga khuda e Rehman usko
bahut si dheel dete rahega (jeem) yahan tak k jab wo usse dekhenge jisse
unko daraya gaya tha yaani azaab ya qayamat to uss waqt wo jaan lenge k
makaan ya manzilat kinke bartar hain aur groh kinka kamzor hai 19:75
Aur jinhone hidaayat paayi hai khuda unke hidaayat ko aur zyada karega
aur baaghiyaat saalehaat tumhaare parwardigaar k nazdeek azru e sawaab
bhi behtar hai aur azru e anjaam bhi 19:76 Kya tumne us shaqs ki haalat
per ghour kiya jisne hamaari aayatoun ka inkaar kiya aur ye kaha k mujhe
[qayamat mein] maal bhi zaroor diya jaayega aur aulaad bhi 19:77(toye)
kya usko ghaib ki khabar mili hai ya usne khuda se koi ahad le liye hai.
(laa)19:78 Har giz aisa na hoga jo kuch wo bakta hai hum usey likh lenge
aur uska azaab bahut kuch badha denge 19:79(laa) aur un cheezon mein jo
kuch wo kehta hai hum uske waris ho jaayenge aur qayamat k din wo
hamare paas tan e tanha aaega 19:80 Aur unlogon ne khuda ko chord ker
bahut se khuda apnaaye taake wo unke liye madadgar hoon (laa)19:81
hargiz na honge (toye) ankhareeb wo unki ibaadat se inkaar karenge aur
unhi k mukhaalif bann jaayenge 19:82 Kya tumne ye nahin dekha k hum
shaitanon ko kafiron

