Page 498 - Quran-e-Kareem
P. 498
20 Sureh Taha (498) 16 para
th
th
Aaya tum tak Musa a.s. ka qissa bhi pahuncha hai 20:9 k jiswaqt unhone
ek aag dekhi to apne ahal se kaha k [zara yaheen] thehro maine aag dekhli
umeed hai k main usmein se tumhaare liye chingaari laoon ya us aag k
paas mujhe raaste [ka pata] miljae. 20:10 pas jab wo aag k paas aye to
[unko] awaaz di gai k aye musa a.s.(toye) 20:11 main tumhaara
parwardigaar hoon ab tum apne ahal aur ayaal ki mohobbat apne dil se
nikaldo beshak tum iswaqt wadi e tua mein ho.(toye) 20:12 aur maine
tumko berguzeeda ker liya hai bas jo kuch wahi ki jati hai tum isko kaan
laga ker suno. 20:13 yaqeenan khuda main hi hoon mere siwa koi mabood
nahin bas tum meri hi ibaadat karo aur meri yaad k liye namaz padho.
20:14 qayamat yaqeenan aane wali hai main us [ke waqt] ko chipa rakhne
ko hoon taake har nafs ko uski kohshish k moojib badla diya jae. 20:15 pas
tumko us se wo hargiz na rokne paaye jo usper imaan nahin rakhta hai
aur jo apni khwaahish ka pairo hai werna tum halak hojaeoge. 20:16 aur
aye Musa a.s. ye tumhaare daahine hath mein kya hai 20:17 arz ki ye mera
asa hai isper main sahara liya kerta hoon aur isi k zariye se apni bhedh
bakriyon k liye patte jhad diya kerta hoon aur isse mere aur bhi kai kaam
nikalte hain. 20:18 fermaya k aye musa a.s. ise

