Page 496 - Quran-e-Kareem
P. 496
19 Sureh Maryam (496) 16 para
th
th
Ke paas bhejdete hain aur unko khoob ubharen. (laa)19:83 pas ab unke
baare mein jaldi na karo hum unke dum gin rahe hain (jeem)19:84 jisdin
hum parhezgaron ko khuda e Rehman ki huzoor mein ba haisiyat e
mehmaan unko bulaenge (laa)19:85 aur gunahgaron ko jahannum ki taraf
pyaase janwaroun ki tarah hankaenge (meem)19:86 Unko shifaat ka koi
ekhtiyar na hoga siwaaye us shaqs k jiska koi ahad khuda e Rehman k
paas ho 19:87 aur unhone ye kehdiya k khuda e Rehman ne beta banaliya
(toye)19:88 Yeto tumne badi saqt baat kahi (laa)19:89 khareeb hai k us se
asmaan phat pade aur zameen shaq hojae aur pahad reza reza hojae (laa)
19:90 k unhone khuda ka beta kehdiya (jeem)19:91 halaanke khuda ko
beta banaane ki koi zaroorat nahin (toye)19:92 Aasmanoun mea jo hai wo
aur zameen mea jo hai wo khuda e rehmaan ki huzoor mea Bandagee ka
izhaar kerte chale (toye)19:93 aane waale hain zaroor usne unsab ka ehata
ker liya hai aur unko aisa shumaar kerliya hai jo shumaar kerne ka haq ho
(toye)19:94 aur qayamat k din inmein se har ek uski huzoor mein yek o
tanha aane wala hai 19:95 Ba tehqeeq k jo log imaan laaye aur nek amaal
bajalaaye anqareeb khuda e rehmaan unke liye ek mohobbat

