Page 503 - Quran-e-Kareem
P. 503
20 Sureh Taha (503) 16 para
th
th
Aajao aur aaj k din jo badha raha ussi ne pala mar liya. 20:64 [jaadugar]
bole k aye Musa a.s. lo ab tum dalte ho ya hum hi pehle dalne wale banen.
20:65 [Musa a.s ne] fermaya tumhi dal lo pas ekaek unki rassiyan aur unki
lakdiyan unke jaadu k zor se aisi maloom hone lageen k daodh rahi hain.
20:66 ab Musa a.s ko bhi apne dil mein kuch khaof maloom hua 20:67
humne kaha k daro nahin ghalib to tum hi hoge. 20:68 aur jo kuch
tumhaare dahine hath mein hai usse daldo k unhone jo kuch banaaya hai
ye use hadap ker jaen unhone jo kuch banaaya hai wo wo jaadugaron k
kertab hi to hai aur jaadugar jahan [bhi] saamne aaye kamyab na hoga.
20:69 pas wo sab [jaadugar] majbooran sajde mein gir pade kehne lagey k
hum haroon a.s aur Musa a.s. k rab per imaan laaye. 20:70 [Firaoun ne]
khabl iske k main ijazat doon tum isper imaan leaae [maloom hota hai k]
yehi tum sab ka guru hai jisne tumko jaadu sikhaaya hai to ab main
tumhaare muqabil k hath paon katwa doonga aur tumko khajoor k
darakhton per daar per khinchwa doonga aur ye tumko ilm hi hojaega k
hum mein se konsa zyada saqt aur zyada paayedar azaab dene wala hai.
20:71 [jawab mein jaadugar bole

