Page 501 - Quran-e-Kareem
P. 501
20 Sureh Taha (501) 16 para
th
th
Pahuncho aur ye kaho k hum donon tere pewardigar k rasool hain pas
bani israeel ko hamare saath kerde aur unko takleefein na pahuncha.
(toye) hum tere parwardigaar k paas se ek nashani lekar aaye hain aurjo
shaqs bhi hidaayat ka pairo hua usper slam e khuda hai. 20:47 hamaari
taraf ye wahi yaqeeni ki gai hai k jo shaqs takzeeb karega aur munh
phaerlega azaab e khuda ussi per hoga. 20:48 firaoun ne kaha k aye Musa
a.s. wo tum donon ka rab hai kon? 20:49 [Musa a.s ne ] fermaya k hamara
parwardigaar wahi hai jisne har cheez ko uski saaqt ataa fermaayi hai phir
[nafa uthaneki] ki hidaayat kerdi. 20:50 Firaoun ne kaha to bhala pehle
zamaane walon ka kya haal hoga 20:51 fermaya uska ilm mere
parwardigaar k paas ek nawishtey mein hai na mera parwardigaar chuk
jata hai na bhulta hai 20:52 [wo wohi hai] jisne zameen ko tumhaara farsh
banaaya hai aur usmein tumhaare chalne k liye raste nikaldiye hain aur
asmaan se pani utaara hai phir humne uske zariye se mukhtalif qism ki
nabataat k jod paida ker diye hain 20:53 tum bhi khao aur apne
chaopaiyon ko bhi charao beshak usmein aql walon k liye nishaniyan
maojood hain 20:54 isi se humne tumko paida kiya hai aur isi mein hum
tumko laota denge aur isi se tumko doosri dafa

