Page 609 - Quran-e-Kareem
P. 609
27 Sureh An-Naml (609) 20 para
th
th
Aaya wo kaun hai jisne aasmanoun ko aur zameen ko payda kiya aur
tumhaare liye aasmaan se paani utaara (jeem) phir humne uske zariyea se
baarounakh baaghat payda kardiye (jeem) tumhaari to ye muqzarat
{taakhat} na thi k tum inn baaghoun k darakhtoun ko ugaalo (toye) kia
khuda k saath koi aur mabuud hai ? (toye) (hai to nahi) lekin ye log hain
k haq se munharraf hojaate hai 27:60(toye) aaya wo kaun hai jisne zameen
ko jaaye qaraar muqarrar kiya hai aur uske beech beech mea darya
bahaadiye hain aur uske liye barhey bhaari bhaari pahaard muqarrar
kardiye hain aur do daryaaoun k maabayn ek parda haayel kardiya hai
(toye) aaya khuda k saath koi aur khuda hai ? (toye) (hai to nahi) magar
inmea se bohhot se nahi jaante 27:61(toye) aaya wo kaun hai jo (1) muztar
ki dua qubool karleta hai jab bhi wo dua maangey aur takleef ko rafaa
kardeta hai aur tum ko zameen ka hakim muqarrar karta hai (toye) aaya
allah k saath koi aur khuda hai ? (toye) (uski nematoun ko) tum kiss
khaddar kam sonchte ho 27:62(toye) aaya wo kaun hai jo khushki aur tari
ki andheyriyoun mea tumhaari rehbari karta hai aur wo kaun hai jo apni
rehmat (baarish) se pehle khush khabri k taur per hawaaon ko bhej deta
hai (toye) kia khuda k saath koi aur allah hai (toye) jin cheezoun ko ye
shareek thayraate hai Allah ki zaat unn sab se bari hai 27:63(toye) aaya wo
kaun hai jo khilqat ki ibteda karta hai phir usko dobaara phayr dega aur
wo kaun hai jo

