Page 614 - Quran-e-Kareem
P. 614
28 Sureh An-Qasas (614) 20 para
th
th
TOYA SEEN MEEM 28:1 ye khuli kitaab ki aayatein hai 28:2 hum unn
logoun ki khaatir jo imaan rakhte hain tumko musa aur firaoun ki sachi
khabar parhker sunaate hai 28:3 beshak firaoun uss sarzameen mea ghaalib
tha aur uske baashindoun ko usne kayyi grow banadiya tha k unn mea se
ek grow ko kamzor rakhta tha unke betoun ko (1) zibah kiya karta tha aur
unki betiyoun ko zinda rakhta tha (toye) beshak fasaad karnewaaloun mea
se tha 28:4 aur hum ye iraada rakhte hai k unn logoun per jo iss sir
zameen mea kamzor kardiye gaye hai ehsaan karey aur unko imam
banaaye aur unko hum waaris qaraar de 28:5(laa) aur uss sir zameen mea
unko tasallut {ikhtedaar} ataa karein aur (uss) firaoun ko aur hamaan ko
aur unn dono k lashker ko jo unhi mea se they wo kuch dikhlaadiye jiska
(unki taraf se ) khouff kiya karte they 28:6 aur humne waalda e musa ki
taraf wahi ki k tum isko doodh pilaao (jeem) phir agar tum uski baabat
khauff karo to usko darya mea daaldo

