Page 613 - Quran-e-Kareem
P. 613
28 Sureh An-Qasas (613) 20 para
th
th
Tum karte ho uss se wo aagah hai 27:88 jo shaks koi nayki lekar aayega
pass uske liye uske a’waz usse behtar moujuud hai aur wo uss din khouff
se aman mea hongay 27:89 aur jo badee lekar aayega to wo aoundhay
munh jahannum mea daaldiye jaayenge (toye) (aur unse ye kaha jayega k
) jo amal tum kiya karte they uske siwaa kisi aur cheez ka badla thora hee
diya jata hai ? 27:90 siwaaye iske nahi hai k mujhey ye hukum diya gaya
hai k mea iss shaher k parwardigaar ki ibaadat karun jisne isko mohtaram
qaraar diya hai aur her cheez ussi ki hai (zaal) aur mujhko ye hukum diya
gaya hai k mea itaayat karne waaloun mea se hojaaon 27:91(laa) aur ye k
mea quran (majeed) ki tilaawat kiya karun pass jo shaks raah per aajaye to
siwaaye iske nahi k wo apni zaat k liye raah per aayega aur jo shaks
gumraah rahey to tum ye kehdo k mea to sirf daraane wala houn 27:92 aur
tum ye kehdo k sab tareef allah k liye zeba hai jo ankhareeb tumko apni
saaf nishaaniyaan dikh laayega phir tum unhein pehchaan logay (toye)
aur jo amal tum kar rahey ho tumhaara parwardigaar unn se bekhabar
nahi hai 27:93(7AIN11-3)
SUREH AL QASAS (MAKEEH) 88 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)

