Page 650 - Quran-e-Kareem
P. 650
30 Sureh Ar roam (650) 21st para
th
Halaanke sab ussi ki taraf ruju karne waale hai aur usse daro aur namaaz
parho aur mushrikoun mea se na hona 30:31(laa) (yaani) unn mea se jin
logoun ne apnay deen tukre tukre kar diya aur grow dar grow hogaye
(toye) her firqa jo kuch bhi uske paas hai ussi se khush khush hai 30:32
aur jiss waqt aadmiyoun ko kuch takleef pohonchti hai to wo apnay
parwardigaar ki taraf ruju karke usse dua maangne lagte hai phir jiss waqt
wo unko apni rehmat ka mazaa chakaa deta hai to unhi mea ka ek grow
yakaayak apnay parwardigaar ka shareek thayraane lagta hai 30:33(laa) taa
k jo kuch humne unko diya hai uska inkaar karde (toye) pass kuch din
nafa uthaalo phir aagay chalker to tumko maaloom hee hojaayega 30:34
aaya humne innper koi hujjat naazil ki hai jissko ye shareek kar rahey hai
wo hujjat uske baare mea inko kuch batlaati ho? 30:35 aur jiss waqt hum
aadmiyoun ko apni rehmat ka mazaa chakaate hai to wo usse khush
hojaate hai (toye) aur agar unper unhi k afaal k sabab koi museebat parhti
hai to yekaayak na umeed hojaate hai 30:36 kia unhonay ye nahi dekha k
allah jiske liya chahta hai rizk ko kushaada kardeta hai aur (jiske liye
chahta hai) tangg kardeta hai (toye) beshak ismea unn logoun k liye jo
imaan rakhte hai nishaaniyan zaroor moujuud hai 30:37

