Page 655 - Quran-e-Kareem
P. 655
31 Sureh luqman (655) 21st para
st
Bayaan ki hai (toye) aur agar tum koi nishaani bhi le aao gay tab bhi wo
log jo kaafir hogaye hai yahe kahenge k tum neeray naahaq kosh ho {haq
nahi jaante ho} 30:58 Allah un logoun k diloun per jo ilm nahi rakhte issi
tarah chaapa laga diya karta hai 30:59 Pass tum sabr karo beshak Allah ka
waada barhaq hai aur jo log yakheen nahi rakhte wo kahin tumko subook
khayaal {kam aqal} (aur jaahil) na banaade 30:60(6AIN7-9)
SUREH LUQMAN (MAKEEH) 34 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
ALIF LAAM MEEM 31:1(jeem) ye hikmat waali kitaab ki aayatein hai
31:2(laa) unn nayki karne waaloun k liye hidaayat o rehmat hai 31:3(laa) jo
(ba qaayeda) namaaz parhte hai aur zakaat dete hai aur wo aakheratt per
bhi (poora poora) yakheen rakhte hai 31:4(toye) aise hee log apnay
parwardigaar ki taraf se hidaayat per hai aur wahi (poori poori) falaah
paane wale hai 31:5 aur aadmiyoun mea se koi koi aesa bhi hai jo behuda
baatoun ka khareed dar hai (1)

