Page 684 - Quran-e-Kareem
P. 684
34 saba (684) 22 para
nd
th
Ye khabar de k jab tum bilkul rayza rayza hojaaogay to phir tum azsar-e-
nauv {dobaara se} to payda kiye jaaogay 34:7(jeem) kia usne allah per
jhootha bohtaan baandha hai ya usay junoon hai ? (toye) (ye to nahi)
balke jo log aakheratt per imaan nahi rakhte wo azaab mea aur aur barhi
gumraahi mea hai 34:8 kia unhonay apnay aagay aur peechay aur aasmaan
o zameen k taaluqaat per nazar nahi daali (toye) agar hum chahte to hum
unn samayt zameen ko dhansaa dete ya unnper aasmaan ka ek tukra giraa
dete (toye) beshak her ruju karne waale bandey k liye issi mea nishaani
moujuud hai 34:9(1AIN9-7) aur zaroor humne dawood ko apni taraf se
bartari ataa ki (toye) (hum ne pahaardoun ko hukum diya k) aye
pahaardoun tasbeeh mea uska (1) saath do aur aesa hee parindoun ko
(hukum diya ) (jeem) aur humne lohay ko unke liye naram kardiya
34:10(laa) (aur) ye hukum diya k poori poori zarhain banaao aur un k
jordne mea sahi andaaza ka khayaal rakho aur naykiyaan karte raho (toye)
beshak amal tum karte ho mea uska dekhne wala hun 34:11 aur sulaimaan
k liye humne hawa ko musaqqar kardiya tha k unki subah ki sair (bhi) (2)
ek mahinay ki raah tak hoti thi aur sham ki sair (bhi) ek mahinay ki raah
tak (jeem) aur unki

