Page 686 - Quran-e-Kareem
P. 686
34 saba (686) 22 para
nd
th
(Sarparasti ko)barha bakhashne wala parwardigaar 34:15 phir (hamaare
ehkaam se ) unhonay rogardaani ki to humne bhi unnper zor ka saylaab
bhejdiya (1) aur unke do baaghoun ko aese do baaghoun se badal diya jin
k phal karwe they aur kuch jhaao tha aur thori bohhot bere 34:16 unke
kufraan e nehmat k badle humne unko ye badla diya tha (toye) aur
kufraan e nehmat karne waloun k siwaa aisee saza hum kisi aur ko thora
hee dete hai 34:17 aur unke maabayn aur unn bastiyoun k maabayn jinko
humne barkat dee thi humne kuch aisee bastiyaan bhi rakhi thi jo ek se
dusri dikhaayi deti thi aur unke maabayn chalna muqarrar kardiya tha
(toye) (aur ye hukum diya tha k ) inmea raatoun ko aur dinoun mea be
khatkhe {be khauff} chalo (phiro) 34:18 phir inhonay arz ki k aye
hamaare parwardigaar ! (3) tu hamaari manziloun ko duur karde iss tarah
unhonay apnay hee ooper zulm kiya pass hum ne (bhi) unko poora afsana
bana diya aur humne unko poora poora tittar bittar kar diya (toye) beshak
iss waaqeye mea her barhe sabr o shukr karne waale k liye nishaaniyaan
moujuud hai 34:19 aur yaqeenan iblees ne unke baarey mea apni raaye ko
sach kardikhaya k siwaaye mominoun k ek grow k sab hee to uska pairo
hogaye 34:20 aur uska unnper koi khaabu to tha nahi magar iss liye k hum
unko jo aakheratt per imaan rakhte hai

